| Nowha - Aa Rahi Hai Ye Sada Shayar: Gulzaar Nowhaqan: Hasan Sadiq aa rahi hai ye sada zainabe dilgeer ki laash be-goro kafan hai dasht may shabbir ki aa rahi hai.... ab nahi abbas-e-ghazi qasim-o-akbar kahan haaye ab koi uthaye laash be-takseer ki aa rahi hai.... kardiya quran zaqmi hurmala ke teer ne jaante na thay muasalman azmate baysheer ki aa rahi hai.... aagayi ummat nabi ki aag lekar haat may laaj rakhlena na khudaya chaadare tatheer ki aa rahi hai.... sar diya gulzaar jab islam par shabbir ne khoon ke khatron ne phir khaake shafa akseer ki aa rahi hai.... |