Nowha - Aabaad Hui Karbobala

Shayar: Shaukath
Nowhaqan: Nadeem Sarwar











Aabaad hui karbobala ujhda madina barbaad hui mai
zainab ko raas aaya moharrum ka mahina barbaad hui mai

ek din tha ke is shehr ki mai karti thi shaahi, aur aaj tabaahi
beghusl pada mohray nabuwwat ka nagina, barbaad hui mai
aabaad hui karbobala....

kis laash pay ro-un kise chodun mai biraadar, laashay hai bahattar
hadh ye hai kay ronay ki ijaazat bhi mili naa,  barbaad hui mai
aabaad hui karbobala....

ashgar ka gal bhaai ka sar seenae akbar, sab gauharo chaadar
is dasht may loota gaya zainab ka khazeena,  barbaad hui mai
aabaad hui karbobala....

maaye bhi na pehchaan saki bachchon kay chehray, bikhray hue sehray
hai khoon ki dariya may gharibon ka safina,  barbaad hui mai
aabaad hui karbobala....

ek aag hai qaimo may qayamat ka sama hai, ghaazi tu kahan hai
dekho to rida cheen liya shimr kameena,  barbaad hui mai
aabaad hui karbobala....

chaadar chinay durray lagay ab zulm na dhaao, baba se milaao
naizay kay talay bait kay roti hai sakina,  barbaad hui mai
aabaad hui karbobala....

shaukath saray makhtal ye kaha binte ali nay, zahra ki pali nay
bhaiyya tere bin khaakh teri behna ka jeena,  barbaad hui mai
aabaad hui karbobala....