Nowha - Aabru-e La-ilaha


Nowhaqan: Hasan Sadiq








aabru e la-ilaha sajdaye shabbir hai
tere dam se ya hussaina naara-e-takbeer hai
ya hussain ya hussain

likhdiya khoon se hussaina parchame islaam par
sar katana raahe haq may deen ki touqeer hai
aabru e la-ilaha....

laashae akbar uthakar bole shah-e-karbala
khaakh-o-khoon may sarware kounain ki tasveer hai
aabru e la-ilaha....

dekhiye ayoob aakar sabr ki manzil zara
haaton pe shah-e-zaman ke laasha-e-baysheer hai
aabru e la-ilaha....

kis tarha dafnaye zainab laash ko teri hussain
haaton may rassi bandhi hai sar khule hamsheer hai
aabru e la-ilaha....

is tarha har shaam hota hai farize haq adaa
khoon may doobi hui payshaniye shabbir hai
aabru e la-ilaha....