| Nowha - Aaj Zainab Hai aaj zainab hai ranjo mehan may kal judaai hai bhai behan may bhai marne ko jaate hai ran may kal judaai hai bhai behan may bhai bhai pukarun mai ban may bhai ka naam hai pajetan may ye to kalma rahega dahan may kal....... aale ahmed pe kal hai qayamat hoga taraaj baghe risalat raat guzaregi ab bewatan may kal......... shukr ka kalma bhai padega halqe nazuk pe qanjar phirega zakhm honge hazaron se tan may kal........ barchi khayega seene pe akbar ye hai wallah shakle payambar roohe zahra bhi tadpegi ran may kal.......... teer se halqe asghar chidega boond paani na usko milega sheh ke haaton pe tadpega ran may kal........ |