Nowha - Aashoor Ki Sehar hai

Nowhaqan: Hasan Sadiq









ashoor ki sehr hai akbar ki azaan hi
shabbir ke lashkar may ek shor-e-fugha hai
ashoor ki sehr hai akbar ki azaan hi

sab basta ghazi hai maula ki amanat may
ansar-e-shahedeen hai masroof ibadat may
sajday may dua karti akbar teri maa hai
ashoor ki sehr hai....

kya sog ka aalam tha shabbir ke laskhar may
maa kehti thi laaungi akbar ki dulhan ghar may
maloom na tha inki kismat may sina hai

_________________________________________________________________________
ashoor se har subhe ki aaghosh may ab tak masoom ki taaseer-e-bayaan goonj rahi hai
islam ki waadi my aawaz hi ay log - shabbir ke akbar ki azaan goonj rahi hai
_________________________________________________________________________

awaaz-e-azaan pahunchi jis waqt madine may
sughra ne kaha koi hasrat nahi senay may
mujhe itna ye bata de bhaai tu kahan hai
ashoor ki sehr hai....

dum todte akbar ne baba se kaha rokar
sugra ko bata dena sehra na bandha sar par
barchi hai kalaije may aur khusk zaban hai
ashoor ki sehr hai....

_________________________________________________________________________
athara baras  paal ke jis ko jawaan kiya, zainab ke saamne wohi dam todne laga
zainab ne sar ko peet ke laashay se ya kaha, akbar nahi gaya mere seenay se dil gaya
_________________________________________________________________________

zainab ke yeh naalay thay laashay ali akbar par
athara baras paala tha tujhe akbar
mai dhoop may baithi hoo, aur ashk rawaan hai
ashoor ki sehr hai....