Nowha - Ab Aaye Ho Baba


Nowhaqan: Ali Zia Rizvi
Shayar: Shahid Naqvi










wo karbala wo shaam-e-ghariban wo teeragi
wo zainab-e-hazeen wo hifazayat qayaam ki
aaya wo ek sawaar khareeb-e-qayaame shah
beti ali ki ghayz may suye faraz badi
ulti naqaab chehre se apne sawaar ne
payshe nigaahe zainab-e-mazloom thay ali
har chand saab raat thi bahot binte fathima
besaakhta zubaan pa ye faryaad aagayi
zainab ne kaha baap ke qadmo se lipat kar
ab aaye ho baba

jab lutgaya pardes amma ka bhara ghar
ab aaye ho baba

baba gar aana hi tha khaaliq ki riza se
us waqt na aaye
jab khaak pa dam tod raha tha mera akbar
ab aaye ho baba

kat kat ke giray nehr pa jab baazu-e-abbas
aur koi na tha paas
us waqt sada aap ko deta tha dilaawar
ab aaye ho baba

jab farshe zameen bamo falak larza baja thay
us waqt kahan thay
jab baap ke chullu may tha khoon-e-ali asghar
ab aaye ho baba

jab bhai ka sar kat-ta tha mai dekh rahi thi
hazrat ko sada di
sar khole hue roti thi mai qaime ke dar par
ab aaye ho baba

jab log bacha legaye laashay shohda ke
haq apna jata ke
bas ek tan-e-shabbir tha pamaali ki zad par
ab aaye ho baba

jab bali sakina ke gohar cheene gaye thay
lagte thay tamachay
hasrat se mujhe dekhti thi banu-e-muztar
ab aaye ho baba

ek shaad ke mehmaan hai phir qaid-o-salaasil
ab aane se haasil
bazaar may hum suboh ko jaayenge khule sar
ab aaye ho baba

kya aapne firdaus se ye dekha na hoga
kya hashr bapa tha
jab pusht se bemaar ke khayncha gaya bistar
ab aaye ho baba

shahid rukhe hyder pa bikhar jaate thay aansu
jab kholke gaysu
chillati thi zainab mere baba meri chadar
ab aaye ho baba