| Nowha - Abbas Abbas Ammujanam Shayar: Rehaan Azmi Nowhaqan: Nasir Zaidi Jab aayi shaame-e-ghareeban, bapa hua matam qayame shah se aati thi ek sada payham mai tumse karti hoo wada ay mere pyare chacha mai tumse pani na maangoongi ab khuda ki qasam Abbas abbas ammu-jaanam man aab namiqaaham Phat-ta hai gham se seena, mushkil hua hai jeena Ehlay haram ka aaya, girtaab may safina be-aasra huye hum, abbas abbas.... Dariya se jald aao, gham se mujhe bachao kab tak tamache khaaye, yeh gham-zadaa batao koi nahi hai humdum, abbas abbas.... Kaano se khoon rawa hai, lab par mere fughaan hai daman sulag raha hai, sehra dhua dhua hai saari fiza hai barham, abbas abbas.... Sar par nahi hai chaadar, maidan may jaake sarwar kyon laut ke na aaye, kuch to batao aakar hai bekasi ka aalam, abbas abbas.... Asghar ne teer khaaya, veeran kiya hai jhoola bano ke dil pe ammu, yeh zakhm hai kuch aisa jiska nahi hai marham, abbas abbas.... Rassi gale may baandhi, aada ne kaske aisi tumko bataun kaise, rukti hai saans meri honton pay aagaya dum, abbas abbas.... Dur chin gaye hamare, gardish may hai sitare roodaad kya bayan ho, dil kisko ab pukare hai bekasi ka mausam, abbas abbas.... Jaati hoon suye-zindan, sar hai phuphi ka uriyaa be-waarison pe apni, kunba hai saara giriyaa aankhein hai sakbi purnam, abbas abbas.... Rehan-aazmi ka, likha hua yeh nowha Nasir pada jo maine, dil khud ba khud pukara laazim hai ab to matam, abbas abbas.... |