| Nowha - Abbas Chalay Aao Nowhaqan: Ali Zia Rizvi akbar bhi nahi baakhi asghar bhi nahi baakhi quran tha jis ghar may wo ghar bhi nahi baakhi har tarha ke sadmo se betaab sakina hai aakar usay samjhao abbas chalay aao kano ki lawaen khenchi kano se gowhar today ya kahkashan todi ya shams-o-qamar today today hai zamane may iqlaaq ke saanche bhi maare hai tamache bhi bachi pa taras khao abbas.... ye raat ye tareekhi ye dasht ye sannata lamho ke taghayyur may sadiyo ka safar kaata ye jalte hue qaime ghabrake na mar jaaye masoom kidhar jaaye masoom ko samjhao abbas.... kya aisay bahadur ko dekha kabhi duniya ne daato se alam thama baazu se kate shaane sar giriyae wehshat may deewar se maaregi ammu ko pukaregi ammu ko bula lao abbas.... ek haul sa uth ta hai is shame ghariban may ek khauf sa dasta hai jangal may biyaban may zanjeeer bapa bhai phuphi bhi rasan basta phir band har ek rasta ab aur na tadpao abbas.... |