Nowha - Abbas Chale Aao

Shayar: Shahid Jafer
Nowhaqan: Nasir Zaidi
(Anjuman Tanzeemul Hussaini)




abbas chale aao bachi na guzar jaaye
darwazaey zindan par ro ro ke na mar jaaye

kaano se lahoo payham shano pe tapakta hai
bibi ke tadapne par dil sab ka tadapta hai
zindan ke andheyre may bemaar kidhar jaaye
abbas chale aao....

baazar se ho aayi darbar se ho aayi
aashore ko jangal may shabbir ko kho aayi
ab sirf yehi zid hai tum aao to ghar jaaye
abbas chale aao....

aahat koi hoti hai sinay se lagati hai
aaghosh may bachi ko ghabra ke chupati hai
madar ko ye dharka hai sotay may na dar jaaye
abbas chale aao....

kaunain ki shahzadi hai khaak basar kab se
ik pal ko nahi soi tum duur gaye jab se
ghut ghut ke aseeri may zainab hi na marjaye
abbas chale aao....

kuch deyr ko laila ke shahzaday ko le aao
aate huye godi may shash mahay ko le aao
ukhda hua dam shayad ik pal ko thehar jaaye
abbas chale aao....

itrat pe jo guzri hai waqif hai jahan sara
shahid hai zameen saari shahid hai zaman saara
ay kaash kisi surat sughra ko khabar jaaye
abbas chale aao....