Nowha - Abbas Ka Jab Zikr


Nowhaqan: Ali Zia Rizvi










abbas ka jab zikr e wafa karti thi sughra
bas khair ki us waqt dua karti thi sughra

ik bar bharay ghar ko main in aankhon se dekhun
ro ro kay madina may dua karti thi sughra

pardes main baba nay mujhey dil say bhulaya
shikwa yahi nani say kiya karti thi sughra

ab ghutniyo chalnay laga hoga mera asghar
ye keh kay bohat yaad kiya karti thi sughra

aata tha madina may ager koi musafir
baychain bohat sun ke hua karti thi sughra

ek aas lagaey huey wo baithi thi dar per
aayengay chacha leney kaha karti thi sughra