| Nowha - Abbas Kahan Ho Nowhaqan: Ali Zia Rizvi sar katgaya jab dasht may zehra ke pisar ka hilti thi zameen kaampta tha arshe moalla surkh aandhi chali khoon ugalne laga sehra wehshat ka ye aalam tha ke hilta tha kaleja thi ek qayamat sare maqtal jo bapa thi gunji hui sehra may faqad ek sada thi abbas kahan ho aajao jahan ho sine pa sina kha chuke akbar gaye maare khaali hua jhoola ali asghar gaye maare tanha hui saydaniya sarwar gaye maare zainab hai pareshan chale aao jahan ho abbas kahan ho.... namuse payambar ko badi aas thi tumse kya aisi bhala bhai khata hogayi hamse phatjaye kaleja kahin zainab ka na gham se kyon roothe ho kis waaste nazro se niha ho abbas kahan ho.... is dashte musibat may kahan kho gaye bhai naize ki ani aayaye tatheer tak aayi aajao zara chorke darya ki taraai chadar sare zainab se utarti hai kahan ho abbas kahan ho.... ye ahle sitam aur qayamat na machade sab lootke asbabe haram aag lagade darr hai kahin bemaaar ka qaima na jalade phir char taraf sirf dhuan sirf huan ho abbas kahan ho.... aane pa sitam aur sitamgar tulay hai talware liye sab dare qaima pa khade hai mardo may fakad abide bemaar bache hai khanjar kahin abid ke galay par na rawan ho abbas kahan ho.... bacha koi rota hai udhar taapo may aake bachi koi roti hai idhar khaake tamachay laaun to bhala laaun zuban aisi kahan se alfaaz nahi haal jo bachon ka bayan ho abbas kahan ho.... |