| Nowha - Abbas-e-Alamdar Shayar: Ahmed Nowhaqan: Mir Mohsin Ali kis sher ki aamad hai ke ran kaamp raha hai ran ek taraf charkhe kohan kaamp raha hai rustum ka badan zere kafan kaamp raha hai har qasre salateene zaman kaamp raha hai shamsheer bakaf dekh ke haider ke pisar ko jibreel larazte hai samete hue par ko abbase alamdaar abbase alamdar is shaan se islam ke parcham ko uthaya sar dediya aur deene mohammad ko bachaya kya maqsade shabbir ye tune hai bataya ay sheh ke wafadar ay abbase alamdaar abbase........... hai sab se juda teri wafaon ka kharina pani na piya tune taraayi ko to cheena aankhon se juda kaise ho tasveere sakina usse hai tujhko pyar ay abbase alamdaar abbase........... hai ashq fishaan aaj bhi ghan may tere pani ye mashq sakina ki alam teri nishani rota hai jahan sunke tere gham ki kahani ay fauj ke sardaar ay abbase alamdaar abbase........... haider ki duwaon ka sila hai mere abbas zahra ne tujhe beta kaha hai mere abaas har daur may har dil ki sada hai mere abbas zainab ke madadgaar ay abbase alamdaar abbase........... tumko na pukare to bhala kisko pukare hai khushk bhatiji ka gala pyaas ke maare roti hai sakina jo kabhi gham may tumhare haste thay sitamgaar ay abbase alamdaar abbase........... abbas ke laashe pe ye kehte rahe sarwar ruksat hue binaayi jo ruksat huye akbar todi hai kamar gham ne tere meri baradar ay fauj ke sardaar ay abbase alamdaar abbase........... karte hai dua ahmad-o-mohsin yehi paiham hathon pe uthaye hue abbas ka parcham jayenge ziyarat ko teri karbobala hum hum tere hai ghamkhaar ay abbase alamdaar abbase........... |