| Nowha - Abhi Khanjar Na Chala Nowhaqan: Sachey Bhai jab giray ghodey say maqtal mein shahey karbobala khanjaray zulm liye shimray sitamgaar badha di tarap kar dar-e-qaimay say yay zainab nay sada abhi khanjar na chala abhi khanjar na chala zalim abhi khajar na chala toot mat behrey khuda fatima zehra ka chayn aur kuch deyr theherja arey zalim ke hussain bakhshishey ummate jad ki abhi kertey hain dua abhi khanjar na chala... teen din hogaey pyasa hai nabi ka jaani zibha karna hai to do ghoont piladay paani kund khanjar hai mere bhai ka sookha hai gala abhi khanjar na chala... bosagaahey nabavi hai ye gala aey zalim shehragay deen pay khanjar na chala aey zalim choomtey thay isi halqoom ko mahboob e khuda abhi khanjar na chala... chod kar khuld zara fatahey khaybar aaleyn aur kuch dyer theher ja ke payambar aaleyn aati hi hongi wo aalene dey amma ko zara abhi khanjar na chala... kya karoon jaon kahan kis ko pukaroon bhai keysey dekheygi tumhein todtey dam maa jaayi ya ilahi mujhey shabbir say pehley le utha abhi khanjar na chala... haey kis dil say karon tazkiraey jorojafa kat gaya samney zainab kay shahey deen' ka gala cheekhti reh gai zainab sar e maqtal ba khuda abhi khanjar na chala... |