| Nowha - Achay Mere Baba Nowhaqan: Ali Zia Rizvi achay mere baba hazrat se sakina ne kaha bhool na jaana achay mere baba jab khuld may pahuncho to sakina ko bulana achay mere baba baba mere pyare mere aashiq mere shayda is waqt phuphi se bataliye kyon maanga hai malboos purana achay mere baba mai jaangayi jaate ho sar apna katane darya ke kanare pani ka to laane ka faqad hai ye bahana achay mere baba tum jaate ho marne ko hamay kis pa hai sompa ye ghaur ki hai ja sajjad to bemaar hai batlao thikana achay mere baba dur kano se cheenaga to faryaad karoongi mai shimre layeen ki beti ko sitamgar ke tamachon se bachana achay mere baba |