| Nowha - Achi Nahi Ye Baat Shayar: Rehaan Azmi Nowhaqan: Nadeem Sarwar Ashoor ki shab haaye sakina ka woh rona Aur sayyade mazloom ka beti se yeh kehna Aray tu roye mai ye dekh nahi sakta sakina Achi nahi ye baat na roya karo bibi Pehlu may kabhi maa ke bhi soya karo bibi Kya ho kisi shab ko jo hum ghar may na aaye tum hum ko na paao tumhe hum bhi nahi paaye tadpogi nahi dard se ye wada karo bibi pehlu may kabhi... Baitha karo kuch der charaghoan ko bhujakar samjha karo is khaakh ko ay laadli bistar bali kabhi yu hi nahi pehna karo bibi pehlu may kabhi ... kuch der ko yeh farz karo hum na rahe gar baakhi na rahe haath koi rakhne ko sar par maahoal yateeemo ka bhi socha karo bibi pehlu may kabhi... aadat zara tanhai me rehne ki bhi daalo tasveer tasavvur may aseeri ki banalo azaad parindo ko na dekha karo bibi pehlu may kabhi ... asghar ko na manoos karo pyar se apne akbar ki uroosi ke na dekha karo sapne sughra ke kareeb itna na baitha karo bibi pehlu may kabhi... zindaan se rehaan sada aati hai aksar jaise ke sakeena se ye farmate ho sarwar ab darr se layeeno ke na jaaga karo bibi pehlu may kabhi... |