| Nowha - Akbar Ne Kaha Rokar Nowhaqan: Mir Hassan Mir Shayar: Mir Takallum shabihe imame zaman khenchte hai tasavvur may tasveere jaan khenchte hai kaha roke akbar ne ay dard tham ja ke seene se baba sina khenchte hai akbar ne kaha rokar ay dard zara tham ja baba mere seene se sina khench rahe hai ay behte lahoo ruk ja hai wasta sughra ka baba mere seene.... akbar ne kaha.... patti mere baba ne ankhon pe nahi baandhi di hai khuley haaton se ran may meri qurbani ay dada khaleel aao hai waqt qayamat ka baba mere seene.... akbar ne kaha.... yasrab ki taraf aankhein har dam meri rehti hai ab waqt bohat kam hai saansein bhi ulajti hai qasid meri sughra ke jaldi se zara aaja baba mere seene.... akbar ne kaha.... akbar ki guzarish hai lillaah na rad karna jab aap ka shewa hai dunya ki madad karna baba ki madad karne aajaiye ay dada baba mere seene.... akbar ne kaha.... dekha nahi jayega aankhon se kabhi meri tadpunga agar may to takleef unhe hogi ulfat ka taqaza hai larzy na badan mera baba mere seene.... akbar ne kaha.... arman jo dil may hai dil may hi na dafna de aisa na ho zainab ko jakar koi batlade pyari phupi amma se bardaasht na ye hoga baba mere seene.... akbar ne kaha.... marne ka nahi hai gham gham hai to bas itna hai darwze pe muddat se baithi huwi sughra hai sunkar ye khabar shayad mar jayegi wo dukhiya baba mere seene.... akbar ne kaha.... kehta tha takallum wo himmat jo meri hoti khud apne hi haathon se mai khenchta ye barchi takleef nahi apni hai dard mujhe iska baba mere seene.... akbar ne kaha.... |