Nowha - Ali Akbar Ali Akbar


Shayar: Ahmed
Nowhaqan: Mir Mohsin Ali











laashe pe kehti maa ay mere akbar jawan
humshakle payambar ali akbar ali akbar
laila ke dilbar ali akbar ali akbar

teeron ke bal aaye jab sajde may shaahe umam
ran may unka sar hua kund khanjar se qalam
lootne sadaat ko aagayi fauje sitam
sar jhukaye khaak par baithe hai ehle haram
ro raha hai aasman ay mere akbar jawan
humshakle............

allah allah ye sitam allah allah ye jafa
durre lagaye hame cheenli sar se rida
karbala may har taraf ek andhera chaa gaya
zalzale may hai zameen khoon ugalti hai faza
qaima qaima hai dhuaan ay mere akbar jawaan
humshakle............

ran may bhai bekafan aur behan hai berida
reesman zulm hai aur sakina ka gala
durron se bemaar pe karte hai zaalim jafa
nanhe nanhe bachon may ek qayamat hai bapa
lut raha hai karwaan ay mere akbar jawaan
humshakle............

asr ka hangaam wo subho ka manzar nahi
rounaqe sab lut gayi ab wo bhara ghar nahi
nasiro yawar nahi shere dilaawar nahi
aun-o-mohammad nahi qasimo asghar nahi
tumne bhi khaayi sina ay mere akbar jawaan
humshakle............

dil ka ye armaan tha laa-un mai teri dulhan
shaadi rachun teri ay mere tashna dahan
tapti hui dasht may lut gaya mera chaman
kaisi musibat hai ye kaisa ye ranjo mehan
kuch to kaho meri jaan ay mere akbar jawaan
humshakle............

khaak hoke rehgayi bachi ki har aarzoo
ho rahi hai zulm ki justajoo pe justajoo
kabse hai jakda hua uska rassi may gulu
beh raha hai ab talak uske kaano se lahoo
yun chini hai baaliyan ay mere akbar jawaan
humshakle............

dekhte hi dekhte kaisa aaya inqilaab
lut gaya pardes may mere bete ka shabaab
mil gaya sab khaak may husne risalat ma-aab
maa ki aankhon ke liye hogaya bas ek khwaab
tera sehra meri jaan ay mere akbar jawaan
humshakle............

zikr chidte hi tera aankhein ho jaati hai nam
padte hai nowha tera ahmed-o-mohsin baham
khatm tujhpe hogaye jitne thay zulmo sitam
tera gham aisa hai gham jiske aagay saare gham
bhooli bisri daastan ay mere akbar jawaan
humshakle............