| Nowha - Allah Ye Kaisa Manzar Nowhaqan: Mir Hassan Mir Shayar: Mir Takallum ye kaunsi mastoora hai kya maang rahi hai islam ki khidmat ka sila maang rahi hai har sahibe ghairat se rida maang rahi hai pardes may marne ki dua maang rahi hai afsurda hai aflaak siyaah posh zameen hai jibreel zara dekhiye zainab to nahi hai allah ye kaisa manzar hai beparda shamiyo may aulaade payambar hai allah ye kaisa manzar hai nida de raha hai ye haskar manadi ay logon gharon se nikal aao jaldi sazae do inko ye baaghi hai baaghi bajte hai shadiyane har haat may pathar hai allah ye kaisa..... kahan khauf khata hai zaalim kisi se bulata hai ek ek ko wo naam leke har ek bibi chupti hai zainab ke peeche khud ko chupaye zainab fizza ki pusht par hai allah ye kaisa..... batata hai shimr aake khud shamiyo ko ke kaata hai maine isi se saro ko dikhata hai lehrake phir bibiyon ko haaton may us shaqi ke ek khoon bhara khanjar hai allah ye kaisa..... hua hai asar itna beenaaiyo par ajab kashmakash may hai asghar ki maadar har ek naiza bardaar ke paas jaakar ro ro ke poochti hai kya ye mera asghar hai allah ye kaisa..... aseero pe kaisi musibat bani hai har ek bibi bazaar may dhoondti hai sakina kahin bheed may kho gayi hai mehshar se pehle barpa bazaar may mehshar hai allah ye kaisa..... qayamat may kaisi qayamat hai barpa takallum hai godhi may asghar ka laasha adalat may khaaliq ki aati hai zehra nazre jhuki hai sabki nabiyon ke labon par hai allah ye kaisa..... |