| Nowha - Alwida Ay Behan Shayar: Mehshar Nowhaqan: Nadeem Sarwar alwida ay behan alwida bole shahe zaman alwida qatl ka mere lamha qareeb aagaya ek andhera sa charon taraf chagaya waqt se pehle suraj bhi grehn aagaya mai hoo tanha mera har sahara gaya alwida......... chalte chalte faqat tumse hai ek sawaal meri pyari sakina ka rakhna khayaal bin mere zinda rehna hai isko mohaal meri bachi ko hone na dena malaal awlida........... jab girun apne ghode se soye zameen aur jhukadoon mai sajde may apni jabeen mujhko zibha karega jo shimre laeen tum na aajana qaime se bahar kaheen alwida.......... mere kunbe ki ab ho tumhi paasbaan hai mera janasheen laagharo natawan rahe koofa hai zanjeer aur bediyaan ab tumhare hawale hai ye karwaan alwida...... lootne aaye qaimon ko jab ashqiya ho sake to bacha lena apni rida sabr karna na karna kabhi baddua har qadam par madadgaar hoga khuda alwida........... yun na gardish may aaya sitara kabhi yun hue thay na hum be-sahara kabhi saat ek pal na choota hamara kabhi ab na aayega bhai tumhara kabhi alwida.... ay behan aisi bhi aayegi rehguzar jab mile tumko raste may shireen ka ghar aur pehchanle tumko shireen agar kehna wada hua poora ay khushsiyar alwida........ sogaye khaak par tashnalab shaahe deen jalgaye qaime aur chaadaray chin gayi hogayi khaali shabbir se ye zameen is sadaye alam aaj tak hai yaheen alwida............ bhej mehshar gharibul watan par salaam tashnalab qastatan bekafan par salaam sheh ke ansaar par panjatan par salaam ek bhai pe aur ek behan par salaam alwida............. |