| Nowha - Alwida Ay Tishnagane Nowhaqan: Ali Zia Rizvi Shayar: Shahid Jafer alwida ay tishnagane karbala alwida ay koshtagane karbala is baras bhi mil saka na dil ko chain ro sake na tujko jee bhar kar hussain nohagar hai aaj matam ki sada alwida ay.... as-salam ay umme laila ke jawan kab tere seene may dar aayi sina khaab ibrahim ka poora hua alwida ay.... as-salam ay saahibe mashko alam tere gham ke saath hai kuch aur gham bebasi bali sakina alqama alwida ay.... as-salam ay asghare ghuncha-dahan sab ke seeno may hai naawak ki chuban tu na ho to kuch nahi hai karbala alwida ay.... as-salam ay kund khanjar ke qateeb hai teri taazeem may roohe khaleel rehgaya tere sabab naame khuda alwida ay.... dashte ghurbat ke sitaro par salam shaahe-deen ke jaanisaro par salam unpe hai shahid hamari jaan fida alwida ay.... |