| Nowha - Amma Baar Baar Shayar: Rehaan Azmi Nowhaqan: Nadeem Sarwar shaam may jahan bibi ka hai mazaar raaton ko dheemi dheemi si aati hai ek pukaar kaano se mere khoon abhi bhi tapakta hai amma baar baar gala mera dukhta hai uththi hai jab bhi aap mera saans rukhta hai amma baar baar.... soyi nahi hoo shaame ghareban ke baad mai ab kya jiyungi shaam ke zindaan ke baad mai be-aas ab hoo shahe shaheedan ke baad mai saaya ajal ka amma mere saath chalta hai amma baar baar.... kano ka khoon aankhon ke aansu se milgaya har zakhm phool banke badan par hai khil gaya baba ko dhoond laao ke seene se dil gaya bejaan mere jism kyon dil dhadakta hai amma baar baar.... ay amma jabse bab se mai door hogayi ye zindagi mere liye nasoor hogayi par kya karoon naseeb se majboor hogayi hijre padar se seene may ek dard uthta hai amma baar baar.... kaantein pade hai halq may ay amma pyaas se darti hoo jhonka guzre hawa ka jo paas se neendh udgayi hai aankhon se khauf-o-hiyaas se rone pe mere shimr-e-layeen kyon jhidakta hai amma baar baar.... asghar ke baad pani piyoon mai nahi nahi ammu ke baad zinda rahoo mai nahi nahi faryaad kuch shaqi se karoon mai nahi nahi pani may aqse chehrae asghar jhalakta hai amma baar baar.... lagta hai qaidga se rihaai qareeb hai ay amma jaan-o-tan se rihaai qareeb hai ab maut mujhko khabr ke laayi qareeb hai daman to jal chuka hai mera dil sulagta hai amma baar baar.... kaunain may ye kaisa hai kanoon poochiye marne ke baad mujko rihaai nahi milay ye kaisi qaid hai ke lehad bhi yahi bane qaidi kabhi to qaid se ghar ko palat-ta hai amma baar baar.... amma rihaai paake watan tum to jaaogi sughra meri behan ko gale se lagaogi poochegi jab mujhe to usay kya bataogi reh reh ke ek sawaal mere dil may uthta hai amma baar baar.... jao nadeem sarwar-o-rehaan ek baar zindaan-e-shaam may jahan bibi ka hai mazaar raaton ko dheemi dheemi si aati hai ek pukaar kaano se mere khoon abhi bhi tapakta hai amma baar baar.... |