Nowha - Amma Teri Kamayi








markhad pe maa ki zainab fariyaad kar rahi hai
amma teri kamayi jungal may lutgayi hai

ummat ne mustafa ki loota hai chain tera
maragaya hai pyaasa amma hussain tera
dil baith sa gaya hai aankhon may teeragi hai

teero se hogaya hai qasim ka jism jhalni
makhtal ki zulmato may dulhan ki maang ujhdi
sehre ki har ladi se hasrat baras rahi hai

barchi jigar pe khaakar akbar ki naujawani
mitti may milgayi hai laila ki zindagani
bete ko yaad karke madar tadap rahi hai

yaadon se khelti hai baysheer ki adayein
reh reh ke de rahi asghar ko maa sadayein
jhule ki khamoshi par khud maut ro rahi hai

aankhon may bas gaye hai zindan ke andheray
yaaday sakina amma rehti hai mujko khaaye
baba ko rote rote masoom chal basi hai

abid ki pusht par hai durro ke neel abhbhi
amma rulagayi hai mazloom ki aseeri
chale hai dashto-pa may beemar par ghashi hai

zainab ko raas amma karbobala na aaya
cheena hai mere sar se do bhaiyon ka saaya
ab to duaye zainab marne ki maangti hai

in baazuon ke kuch to daagh-e-rasan dikhane
aayi hai teri beti roodade gham sunane
kurta kahi jala hai chadar kahi jali hai