| Nowha - Arbaeen Karna Hai Shayar: Fareed Arbaeen karna hai shah-e-karbalayi ka leke daagh seene par shah ki judaai ka haq ada kare zainab kaise apne bhai ka qaafila utar aaya, sabr ki khudayi ka karbala ke maidaan par fatima ki jaayi ka arbaeen karna hai.... maut ke bayaabaan may zindagi ka maatam hai zulm ke andheron may roshni ka maatam hai aansuon ke toofaan may tashnagi ka maatam hai ek behan ke hissay may har kisi ka maatam hai arbaeen karna hai.... bhai kya sunaaun mai hum pe kya sitam guzre baad-e-asr-e-aashoora be-kafan thay sab laashe shaam-e-gham ke jaatay hi maut ke badhe saaye chin gayi rida meri bhai jal gaye qaimay arbaeen karna hai.... door tak nigaahon may shaam ka andhera hai karbala say kufa tak haadason ne ghayra hai jabse nowne-haalon ne moo ko apne phera hai maamta ki godhi may maut ka basera hai arbaeen karna hai.... baad-e-karbala bhai, har qadam qayamat thi be-rida rasan basta raah-e-shaam se guzri bhai hum tamaasha thay raastay tamaashayi har qadam dua yeh thi kaash maut aajaaye arbaeen karna hai.... bhai qaid khaanay ki teeragi se ho aaye aap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye yun sakina bibi ko sab aseer ro aaye arbaeen karna hai.... sab se juda ho kar jab madina jaaungi jake maa ki turbat par marsiya sunaungi karbala ke maqtal may kya huwa bataungi bhai apnay baazu ke neel bhi dikhaungi arbaeen karna hai.... bhai ab khudahafiz khabr say chali zainab bin tere guzaa-regi kaisay zindagi zainab uth gayi fareed aakhir keh ke ya ali zainab ranjo gham ki dunya may phir say kho gayi zainab arbaeen karna hai.... |