Nowha - As-Shaam

Shayar: Shahid Jafer
Nowhaqan: Ali
(Anjuman Hyderi Ali Basti)




kisi bemaar ke hoton pe raha ek hi naam
haaye ash-shaam haaye ash-shaam haaye ash-shaam

jabaja kocha-o-bazaar may logon ka hujoom
jaise melay ka sama jaise kisi eid ki dhoom
aur zanjeer may jakda hua mazlom imam
haaye ash-shaam....

nok-e-naiza pa wo quran sunatay huye sar
apne chehro ko wo balon se chupatay huye sar
aur is haal may phir umme habiba se kalam
haaye ash-shaam....

saat-so kursi nasheeno se bhara wo darbar
haram-e-shah ke hamrah wo bekas lachaar
usi laghar ke garajtay huye lehjay ko salaam
haaye ash-shaam....

tasht may farq-e-shahe deen pa wo hakim ki chadi
dil-e-bemaar pa wo lamha qayamat ki ghadi
zabt ki aakhri had paar hai imamat ka qayaam
haaye ash-shaam....

sab aseero ke liye ek andhera zindan
is andheray may tadap kar kisi bachi ka fughan
kis ko neend aayegi aise may kahan ka aaraam
haaye ash-shaam....

raat ke pichlay peher baap ko jo roti thi
margayi shaam ke zindan may phir wo bachi
ek bhai pe guzartay rahay kya kya aalaam
haaye ash-shaam....

baad-e-aashur jo rota raha chalees baras
zehr-e-hashaam say mara gaya aakhir bekas
aakhri waqt bhi shahid yehi kehta tha imam
haaye ash-shaam....