| Nowha - Aseer Hoke Chali Hoo Nowhaqan: Hadi Ali Khan Muslim aseer hoke chali hoo salaam lo baba ye ibtheda hai musibat ki inteha bhi nahi guzar gayi hai qayamat magar gila bhi nahi phupi ke sar pa kafan ke liye rida bhi nahi aur aaj hosh may beemare karbala bhi nahi aseer hoke chali.... hamara karbobala my qayam ho na saka tumhare dafn ka bhi inthezaam ho na saka pade ho khaak pe kuch ehtemam ho na saka ye zoaf hai ke ada bhi salam ho na saka aseer hoke chali.... suna hai shaam ka darbaar jab bhara hoga yazeed ka sare darbaar saamna hoga mera to bhai bhi zanjeer may bandha hoga phupi jo pahunchegi darbaar may to kya hoga aseer hoke chali.... hai sar pe khaak bhi gham bhi hai aur buka bhi hai hai kamsani bhi musibath bhi aur jafa bhi hai phupi ke saaath rasan me mera gila bhi hai in aafato se guzarne ka hausla bhi hai aseer hoke chali.... hai ab bhi peshe nazar waqiyate karbobala wahin hai shimr ka khanjar wahin hai sheh ka gala wahi hai shaam ka bazaar aur wohi koofa urooj ab bhi sakina ki aa rahi hai sada aseer hoke chali.... |