| Nowha - Asghar Haaye Asghar Shayar: Anees Nowhaqan: Ali Zia Rizvi asghar haaye asghar ay cheh mahine wale tujko mera salam ay shahedeen ke dilbar ay roohe khalbe madar ay tishnakaam muztar ay bezuban asghar ay cheh mahine.... asghar haaye.... tashnalabi pe teri girya hai ye khudaai mazlumiat ne teri insaniyat jagayi ay cheh mahine.... asghar haaye.... sookhe labo pe tune jis dam zuban phirayi sar ko jhuka ke roya dushman ka har sipahi ay cheh mahine.... asghar haaye.... kya manzilat hai teri shabbir-e-khastatan ne dafna ke tera laasha farmaya purmehan ne ay cheh mahine.... asghar haaye.... shikwa na karna asghar pani nahi mayassar aansu baha ke maine turbat ko kardiya tar ay cheh mahine.... asghar haaye.... yaade pisar jab aati jo kokh ujdi madar raton ko uthkar aksar kehti thi dar pe aakar ay cheh mahine.... asghar haaye.... tareekhe karbala ko padkar anees dekho qatil bhi sar jhukaye kehte milenge tumko ay cheh mahine.... asghar haaye.... |