Nowha - Asghar Ka Janaza

Shayar: Rehaan Azmi
Nowhaqan: Nadeem Sarwar









ay momino jab khoon may dooba hua aaya asghar ka janaza, asghar ka janaza
shabbir ne ek maa se usay kaise chupaya asghar ka janaza, asghar ka janaza

haanton pe janaza ali asghar ka uthakar, rukh su-e-falak karke sada dete thay sarwar
allah yahi hadya-e-aakhir hai hamara, asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may....

chehre pe mere khoon hai mere ghunchadahan ka, murjhaya hai ye phool mohammed ke chaman ka
ay nana tere deen pe karta hoo mai sadka, asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may....

sangdil thay la-een bache pe kuch rehm na khayaa, pani ke talab karne pe khoon uska bahaaya
islam ko ab hashr talak kargaya zinda, asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may....

jab raat ko maa apne tasavvur ko jagati, awaaz use jhoole ki nowha ye sunaati
kya bhool gayi haaton pe sarwar ke jo dekha, asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may....

maa kehti ae godh ke paalay ali asghar, thi aarzoo dekhungi mai sehra tere sar par
kyon waqt ne mujh kokh-jali ko hai dikhaya, asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may....

yaad aagaya zindaan may jo bhaiyya ka humakna, sajjad se tab kehne lagi bali sakina
kya khaake taras dhoop se logo ne uthaaya, asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may....

rehaan sheh-e-deen ne har ek laash uthaai, akbar sa jawaan unmay tha abbas sa bhai
bete se yadullah se magar uth nahi paaya, asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may....