| Nowha - Awaaz To De Akbar Nowhaqan: Mir Hassan Mir kadiyal jawaan ki laash par kehta raha rokar padar awaaz to de akbar girta hua ut-ta hua aa to gaya hoo mai magar gum hogaya noor-e-nazar aawaz.... tu naujawan hai akbar aur zaeef baba kaise uthaoon maiyath mujhko to batade itna jaana hai ab khaiyaam tak kaise karoon mai ye safar qam hogayi meri kamar awaaz.... aayi sada jidhar se mai us taraf badoonga awaaz sunte sunte tujhe un may dhoond hi loonga tu hai jidhar pyare mere dheere se ye kehte hue baba idhar baba idhar awaaz.... sughra ke naamwar ko khat ka jawaab kya doon wo muntazir hai usko barchi ka haal sunadoon raste se ab nazre hata maara gaya bhai tera kya bhejdoon usko khabar awaaz.... teri sada ko sunkar wo phir se ji uthegi hamsheer teri warna shayad nahi jee paayegi seene ki barchi thaam ke sughra ko uske naam se ek baar himmat jodh kar awaaz.... barchi se bas kalaija tera nahi chida hai maqtal may fatima ne dil apna thaam liya hai bhai hassan nana nabi baba ali dadi teri maujood hai sab bhi idhar awaaz.... kaise bayaan karoon mai wo dard naak manzar sajde may thay khudaayi rota tha saara lashkar jab fatima ke laal ne haaton pe lekar khaak se rakh kar kaha zaano pe sar awaaz.... laashe ke dona jaanib baithi hai maayen dono seene ke bosay lekar lete hai balaayn dono zainab idhar laila idhar choome tera zaqmi jigar inse to koi baat kar awaaz.... akbar janabe akbar khamosh hogaye thay shabir sar jhukaye laashe ke paas khade thay zainab kabhi laila kabhi behne kabhi kabhi naamwar kehta raha ye saara ghar awaaz.... |