Nowha - Ay Aasman Ay Aasman

Shayar: Shahid Jafer
Nowhaqan: Ali Raza Baqri
(Anjuman Guroh-e-Jafri, Karachi)



ay aasman ay aasman
tune bhi dekha wo sama
jab karbala ke dasht may
thay imteha par imteha
ay aasman....

hilta tha arsh e kibriya
saktay may thay kul ambiya
jab naujava ke qalb se
kheynchi zaeefi ne sina
ay aasman....

bachi sisakti rahgayi
chehro ko takti rahgayi
jab nehr par mara gaya
ahl e haram ka pasban
ay aasman....

suntey hi sab tharra gaye
muh ko kaleyjey aagaye
jab khoon say tar hogayi
baysheer ki sukhi zaba
ay aasman....

woh waqt nowha bangaya
sadiyon ka sadma ban gaya
jab bayvagi ki zarb say
tooti dulhan ki chudiya
ay aasman....