| Nowha - Ay Bekafan Hussain Nowhaqan: Ali Zia Rizvi Shayar: Masroor ay bekafan hussain ghareebul watan hussain ab bhi falak se aati hai awaaze fatima ummat ne haaye tujh ko kafan bhi nahi diya ay bekafan hussain.... aayi na kabhi laal tujhe dhoop may lekar ab tapti zameen par hai tera laashaye besar uryan badan hussain ghareebul watan hussain ay bekafan hussain.... soti thi sada lakhte jigar tujhko sulaakar chakki bhi jo peesi hai to godhi may litaakar ay bekafan hussain.... ummat ne khoob ajre risalat ada kiya pamaal teri laash baade khaza kiya ay gulbadan hussain ghareebul watan hussain ay bekafan hussain.... uff khabr may bhi chain mila mujhko na dilbar ta hashr yuhin roti rahegi teri maadar waqte muhan hussain ghareebul watan hussain ay bekafan hussain.... masroor kaam aayega girya ye khabr may ay kaash lab pe ho mere noha ye hashr may tashnadahan hussain ghareebul watan hussain ay bekafan hussain.... |